Marke pahucha khuda k pass
na jaane kyon uska mood thhanka
aur dimag sanka
lene laga hisaab meri buriyon ka.
dhoondhta gaya dhoondhta gaya
Bola..
Sirf ek he bura kaam kiya tune.
Mujhse jyada kisi aur ko yaad kiya tune..
Iski tujhe saza milegi..
Aur agle janam mein tu dinosaur aur wo chipkali banegi…
Aur chah kar bhi tu use na chu payega..
Aur jo chuaa toh dharti par akela reh jayega..
Main muskuraya…
Aur usko smjhaya..
Kone mein le gaya
aur bataya..
Ki hey khuda tu apni banayee
reet khud bhool gaya..
Aur ek sachhe pyar ko pehchaan ne mein chook gaya..
Wo mere dil mein rehta hai..
Har pal uski yaad mujhe jeene ki nayee rah hai deti..
Gar main aisa he hota..
Toh aaj tere saath main baat na kar raha hota
kahin tanha baith k rota..
Kyonki tune mujhe yahan akela bulaya..
Abki khuda muskuraya
hasa bola..
Bete main tera baap hun..
Aur ye jo bol raha hai na ye maine he tujhe sikhaya hai
bachhe ye aaj tujhe samajh mein aaya hai
ki sachha pyaar kya hota hai
kya hota hai dil mein dard le k bhi muskurana
aur dariye mein reh kar aag lagana
uski ye baaten sun mera digmaag ghoom gaya
do pal k liye bheja sir se nikal dharti ko choom gaya
mere dimaag mein ek khayaal aaya
thodi masti thoda nasha chaaya
aur pooch dala jo dil mein aaya
ae khuda ye sab hai tera banaya..
kya tune kabhi kise se dil lagaya…
Uth khada hua wo ghura mujhe wo chhati ko taan
ye dekh meri to nikal gayi jaan
isse pehle main vinamrata se baat ko ghumata
wo phir dheere se muskuraya
tub mujhe kuch sukoon aaya
aur khat se mu khola aur bola
are yaar tu toh saari duniya k baare mein jaanta hai
har kissa,har kahani har bande ko pehchaanta hai
aaj kuch apna haal bata..
Ki ab tak aayi sabki baari
abki baari khuda tumhari
ki kya teri zindagi mein koi pyaar ka mausam aaya hai
ya yahan baithe tune sirf khayali pulao banaya hai..
Wo bhadak gaya..
Pehli baar uski dhukti rag pe shayad kisi ne rakha tha haath
maine kaha aadat daal le tujhe rehna hai mere saath..
Usne kaha ki he nadaan
yehi hai farak
main hun bhagwaan aur tu insaan
isse pehle wo kuch aur kehta maine dekha mauka aur maara
chauka
bola
kya faida tere khuda hone ka..
Sabse balwaan hone ka
jab tune kabhi kisi se dil he na lagaya
to tune khuda ho k bhi kya paya..
Are tujhse achha wo insaan hai
jo tere banaye zahaan mein
us khoobsurati ka ehsaas karta hai..
Jise tune hai banaya
par kabhi use khud na aazmaya
lekin tu pyaar kar kaise sakta hai..
Dekh sansaar ki sab ladkiyon ko to tune he banaya hai
aur aakash mein sab deviyon ko pehle he kisi na kisi ne
pataya hai
tu toh reh gaya akela
chahta tu bhi hoga aam
par na mila tujhe kela..
Wo jor se hasa..
Aur itne mein mera payr kahin fasa
wo hasta gaya mera payr dhasta gaya
aa gaya wapas apne jahaan mein
wapas apne ghar jo hai hindustaan mein..
Thoda sa jaldi mujhe tha meri ma ne jagaya
warna sahi tha maine use fasaya..
Mujhe uspe taras tha aaya
kya kare wo jisne buna ho har taana
aur usi ko na mile ek bhi daana..
Toh ye tha meri neend ka fasana
jisse chahta to tha gungunana
par sahi samaye pe sahi dhun na ban payee
isiliye aapko kavita k roop maine ye kahani hai
sunayee..